Word Document - WordPress.com

advertisement
Ya Zahra - Shuja Rizvi
ya zahra ya zahra
Oh Zahra Oh Zahra
Adhi raat ki tariki mein le kar chashme tar
Mere maula ajate hein qabre zahra par
Haye karbe imame zamana qabre zahra par
In the middle of the dark night with teary eyes
My master went to the grave of Zahra
Oh the difficulties of our living imam on the grave of Zahra
Sar ko jhuka kar qabr pe akar rote rehte hein
Chup ke chupke jane kya kya maula kehte hein
Thubbat alaiya ki he sadaaein marqad ke andar
With his head bowed down he comes crying to the grave
In a whispering voice, I don’t know what he is saying
Thubbat alaiya (difficulties on me) is echoing through the grave
Jaise baade asr huwa tha lashe pisar ka haal
Ma ki marqad ko kardala zalim ne pamaal
Door talak bas ret he pheli mitti or kankar
Just like they did with her son, after Asr (in Karbala)
The oppressors have done the same thing with the mother’s shrine
There is only sand and pebbles around now
Ek shikasta pehlu ki awaaz mein kya he dard
Arshe ilahi kaamp raha he chehrae deen he zard
Ashk mein doobi huwi mitti he rote hein patthar
So much grief in the voice of this defeated man
The heavens of God shivered, the face of religion has become pale
The sands are filled with blood and the stones are crying
Ghaibat ke parde mein hoon mehroomi to dekhein
Dadi apne pote ki mazloomi to dekhein
Dadi meri ankhon mein hein shaam ka har manzar
I am behind the curtains of occultation, look at my deprived state
Oh grandmother, look at the troubled state of your grandson
Oh grandmother, in my eyes I see every scene of Sham
Raat ki aus he din ki dhoop ka he azaar yahaan
Qabr ke upar saye ka bhi koi nahin imkaan
Jaise zainab aur kulthum ke sar pe nahin chaadar
The troubles of the night dew and the heat of the day is displayed here
There is no sign of a shade on your grave
Just like Zainab and Kulsum didn’t have a covering on their heads
Bibi farmati hein baba aap ke baad mujhpe who musibatein aayin
Jo dinon par parti to taareek raton mein badal jaate jo pahaaron pe parti to pahaar zulme mein
badal jaate
The bibi says oh Father after you I had such troubles
That if they were to fall on the day, the day would become a dark night and if they were to fall on
the mountain it would crumble into pieces
Aaj bhi mahal shahon ke roshan hein magar teri qabre mutahhir par na sayebaan hein na koi diya
jalta he
Ajab nahin ke qabre payghambar se awaaz aati ho
It isn’t surprising that the grave of the prophet says:
Even today, the courts of the emperors are bright yet your pure grave has no covering nor is any
candle lit
Beti teri qabr pe ab tak koi nahin saya
Jaise tha be goro kafan karbal mein tera jaya
Kehti he mitti me ati ye qabre payghambar
Daughter, there is still no covering on your grave
Just like there was no kafan for your son in karbala
The grave of the Prophet buried under the sands
Arshe ilahi larza he aur tare rote hein
Dadi aapki mazloomi pe saare rote hein
Girya kuna hein saare imam aur saare payghambar
The heavens of god shivers and the stars are crying
Grandmother, everyone is crying on your oppression
All the imams and prophets are in a state of mourning
Marqad se aati he sada ye binte payambar ki
Beta tere qarb se waqif he teri dadi
Mohsin ke bhi khun ka badla wajib he tujhpar
There comes a voice from the grave of the daughter of the prophet
Son, your grandmother is aware of your difficulties
You still have to avenge the blood of Mohsin
Dadi aap ke paas he ab bhi kurta asghar ka
Dadi mujhko bas lena he mohsin ka badla
Aap dua dein khul jaye bas ghaibat ka ye dar
Grandmother, you still have the clothes of the baby
Grandmother, I just want to avenge for the killing of Mohsin
Just pray that the doors of this occultation are opened
Haath mein hein is waqt bhi mere haidar ki talwar
Mein to har ik soorat mein hoon aane ko tayyar
Ro ke qamar maula ne kaha tayyar nahi lashkar
I still have the sword of Haider in my hands
I am ready to appear in any state
Tearfully, Qamar, master said that my army isn’t ready
Download