Nukkad Natak Team Name- “DRAMATIZERS” Title- “ BUDHAPA” SONG Chorus: Sun le zara tu, sun zara-4 Actor: kya gaa rhe ho yarr..? thoda acche se gaao …thoda energy se gaoo… Chorus: to lo sun lo SONG-1 Sun lo , sun lo , sun lo Sun lo , sun lo , sun lo Baat pate ki kehne aayi Nukkad Party sun lo , Baat pate ki kehne aayi Nukkad Party sun lo , Sun lo , sun lo , sun lo Sun lo , sun lo , sun lo (KUT TO KUT) 1- Traffic Jam chorus : po…po…po… side hato po…po…. Actor : yaar in buddho ko gadi kon de deta hai , sara ka sara raasta jam kar dete hai . 2- Metro Actor : arey side ho jao dekh nhi rhe purani imarat aa rahi hai , Puratav vibhag ki Budha: Beta jra Seat dena . Actor: Uncle ji apko dikhayi nahi deta mere pass kitne sare bag hai Budha: par beta upper likha hai Senior Citizen ki seat hai . Actor: upper likha hai na to upper hi jakr baith jao . 3- Kharate lena Actor: Dada ji aap sote time bhut khrate lete ho , kal se apna bistar bahar lgaya kro . Na khud sote ho na mujhe sone dete ho . 4- Paise dena Baap: Beta mujhe paise dede Beta: Papa Abhi pichle mahine hi to 50 rupee diye the, aur vaise bhi paiso ka kroge kya ..? Muft ki roti to tod hi rahe ho 5- Exam Beta : Mummy mere exam aa rhe hai mujhe mera separate room chaiye . Maa: Suno , Hmara beta ab bda ho gya hai , usko separate room chaiye . EK Kaam kro ki apni maa se kho ki apna room khali krde . Papa: Maa kha rhegi? Maa: Vo servant quarter m rah legi 6 - Ghar me party Wife: Suno , kal ghar m party hai to meri sari friends aa rhi hai . apni maa se kehna ki upper hi rhe , m unke liye khana bhijva dungi . Husband: Par kyu…? Wife : Apki Maa bhut hi down market hai aur unse bhut badbu bhi aati hai , meri friends kaafi acche ghr se belong krti hai Husband : Thik hai kah dunga Darling . 7 – Roti Bahu : Papa yeh roti kyu chod di ? Sasur: Sabji m tel bahut hai…aur mirch bhi bahut hai…….tu ek kaam kar mujhe thoda-sa dudh dede, m dudh me roti chur kar kha lunga . Bahu: Mere maa-baap kabhi itne nakhre nahi kiye …Aur kya kha dudh? Pta bhi hai kitne rupyee kilo hai dudh ?....65 rupee kilo hai …agr dudh pine ka itna hi shok hai to apne bête se kaho ki 4 bhains bandh de …vhi dudh pite rhna aur uple bnate rhna smjhee…..(taunt- inko pilado dudh ). NARRATIONAesi bhuit si kahaniya hai , Budhape ke badkismat halat ki , hakikat ki , kadvi hai par sacchi …..| Jinko pala posa bda kiya , apna tan diya , man diya, dhan bhi diya , vhi begane ho jate hai . Jab sbse jyada jarurat hoti hai tab bhi rota kyu chod dete hai..? SONG-2 ( IF Time spare then we will consider) Scene-1 Actor-1: Vo dekh kude m kya hil rha haii Actor-2: koi janvar hoga .. Actor-3: nahi yeh to koi budhi aurat hai Actor -1: kam se kam 80-85 saal ki lag rhi hai Actor-2: chal chal yha se , police ka chakkar pad jayega Actor-1: magar inke gharwale inhe akela kaise chod kar ja skte hai? Actor-2: jab iske gharwalo koi ski chinta nahi hai to tujhe kya padi hai ? tujhe rukna hai to ruk ham log jar he hai ( actor-2 , actor-3 nikal jate ) Actor-1: Mata ji apna hath dena mataji , apna hath do …… NARRATION: Yeh ek saccha kissa hai , jo kuch saal phle delhi me hua tha , jha ek aurat ke apne hi gharwalo use dustbin me daalkar vha se bhag kr chle gye …..Koi aesa soch bhi kaise skta hai ? Apni Maa ko dustbin me dalkr chle jana …..! Aese haivaniyat aese darindgi…..! SONG-3 Yeh duniya ka mela dekho , yeh duniya ka mela Rah gya tu akela dekho , rah gya tu akela Tune jisko pala , usne hi ghar se nikala Jisko apne khoon se sincha , usne hi collar khincha Chhati se jisko lgaya , usne hi hath uthaya Kehte the jisko beta , aaj muh fer leta Yeh duniya ka mela dekho , yeh duniya ka mela Rah gya tu akela dekho , rah gya tu akela -2 SCENE-2 Girl: agar mujhse pyar krte ho to jao , apni maa ka dil lekar aao. Beta: Maa, Mujhe tumhara dil chaiye , mujhe apnu mohabbat us ladki ko sabit krni hai CHORUS: JA LE JA, JA LE JA . Beta: dekho , m apni ma aka dil tumhare liye le aya hu Girl: Jo apni maa ka nhi ho ska vo mera kya hoga …. Narrator: Rote-2 vha se chal pdta hai , aur chlte chlte thokar lag kar gir jata hai to Maa ke dil se awaj aati hai …. SONG-4 Maa ka bola vo dil , Mere bête sambhal Kahi tujhko lagi koi chot to nahi -3* SCENE-3 Baap- Beta dekh gate par koi aya hai ? Beta: aap khud dekh lo na … Baap : beta fridge par meri dawai rakhi hai de de .. Beta: pass m hi to hai khud lelo Baap: Beta, kya bat hai , aaj bhut handsome lag rha hai ….. kahan jar ha hai ? Beta: apka har baat par tokna jaruri h kya ..? kha ja rha hai ? kya kar rha hai ?. Itne sawal puchne ki jarurat kya hai ..? Chupchap ghar me nahi baith skte kya ? Baap: beta , jab tu chota tha na … bhuty sawal kiya krta tha ..aur m tere har sawal ka jawab khushi-2 diya krta tha ….aur ab tub da ho gya hai , to meri bate tujhe chubne lgi hai ….waah beta waaah…. SCENE - 4 Budhi Maa : Mera beta mujhse bhut pyar krta haii , pichle saal Mujhse milne bhi aya tha . Jab tak vo the to sari duniya merit hi , lekin unke jane ke bad mera beta mujhe vridhashram m chod gya hai . Mere jaise yha aur bhi log hai , par mera yha man nhi lgta …par mera beta mujhse bhut pyar krta hai…… NARRATION: 1) Jinhone paida kiya , paal poos kr bda kiya , khud soye gile me , hme sulaya godi me . Kilkari sun hmari chakte vo , Ungli pakad chlna sikhaya , sardi-garmi barsat..saaye kit rah khade rhe , khud jale hme khda kiya Chaanv me……! Lekin ab hm bde ho gye hai aur vo bhhoj. Hum bhagne lge hai vo therne lge hai .! Unki khansi chubti hai , bolna nhi bhata , unka hona khalta hai , agr toke to gussa ata hai . Ghar ke kisi kone m khanste , badbdate, chikte-chillate , kabhi pani ko , kabhi dava ke liye taraste . 2) Ghar ke Buzurj ghar ki takat hote hai, Unke kisse- kahaniya unka tazurba, unki bate dharohar hai . Unka hona bargad ke drakht ki chaya ki trah hai , jahan hum surakshit hai, jahan aonaoan hai , jahan pyar hai , jahan hmare vajood ka ahsas hai , jahan hone ke mayne hai …! Kyu andhere me, ghar ke kisi kone me , charpai par , sadko par , chatto par , Bhudapa kyu dum todta hai….? Zindagi ke liye kyu tarasta hai …? Zinhone hme zindagi di ve pyar ke do lafzo ke liye kyu taras jate hai …? 3) Vo apni zindagi bhar ki kamai hme dete hai , unka makan jise unhone khoon pasine se se bnaya . Apni mehnat ki kamai , apna pyar , apnapan diya…..badle me kya milta hai unhe ..? Apman aur tiraskar. Jab hum khanste the , thoda-sa bhi sharir tapta tha , tab jagte the vo sari raat , lgate the gale , ponchte the the aanshu. Hum naraj hote the,mnane lag jate the .Khud fata pehnte , rukha-sukha khate , hme pehnate nya, khilate accha. Ab jab vo khanste hai hum badbdate hai , unki khansi ghme chubti hai , bolna tang krta hai , salah bakwas lgti hai , tokna gussa dilate hai .. Ab hum bde ho gye hai aur vo bhooj… Bhudapa bimar, thaka-hara , besahara , akela kyu hai…? Hmare samaj me Budda hona abhishap kyu hai …? Adapted By- Aditya Saini & Team .