Uploaded by siddhant Ghildiyal

The Mousetrap script (Hindi)

advertisement
THE MOUSETRAP
(Mrs. Rose enter in raincoat)
Mrs. Rose- Kaafi thand hai aaj……Arre ye khidki kaise khuli he? Zaroor ye
Shekhar ki hi laparwahi hogi. ek kaam dhang se nahi kar sakte he ye.
(exit Mrs. Rose)
(enter Shekhar in raincoat)
Shekhar- Rose? Rose? Kaha ho?
(enter Mrs. Rose)
Mrs. Rose- Aree aa gaye tum?
Shekhar-Haan aa gya, lekin poora din samaan laane mein barbaad ho gya. Upar se
baarish or toofan, raaste bhi puri tarah se band hain, badi mushkil se toh gaadi chala
kar yaha tak pahucha hun.
Mrs. Rose- Me tumahare liye chai laati hun.
Shekhar- Haan, iss Mausam me chai mil jaye to maza aajaye.
Shekhar- Kaafi thand he aaj……Arre tumhare haath itne thande kyun he?
Mrs. Rose – Aree, wo mein bhi bahar gyi thi.
Shekhar- Kyu? Itne kharaab mausam mein tum kha gyi thi?
Mrs. Rose- Yahi pass mein bazaar tak kuch kaam tha….acha suno,phone ka bill
jama ho gya?
Shekhar- Haan ho gya .
Mrs. Rose- Or diesel?
Shekhar- Haan vo bhi mil gya. Itna hai ki ek hafte tak bijli ki koi dikkat nahi hogi.
Mrs. Rose- Bas, sab kuch achche se ho jaye, guest ke saamne first impression
achcha hona chahiye.
Shekhar- Exactly. Is everything ready? Saare kamre taiyaar hain?
Mrs. Rose- Haan rooms ready hain. Main tumhe list batati hu…. Haan Mr. Porwal
ko room no. 4, Major Veer Singh ko room no. 3, Mr. Vishesh Solanki ko room no. 2
aur Mr. Raj Malhotra ko room no. 1.
Shekhar- Wo sab to thik he Rose….par pata nhi ye sab log kaise honge, hume
advance pehle le lena chahiye tha, nahi?
Mrs. Rose- Nahi bilkul nahi, kaisi baate kar rahe ho?
Shekhar- Rose hum log is kaam ke liye bilkul naye hai. Hume pata hi kitna he.
(Rose kahi tumhe aisa to nhi lagta ki ye hume ye guest house kholne ki
jagah isko bech dena chahiye tha ya to correspondence course kar lena
chahiye tha)
Mrs. Rose- Log apna saaman late hai na, agar kisi ne paise nahi diye to unka
samaan rakh lenge, simple.
Shekhar- Bohot khoob, tum business karne me mahir ho gayi ho. Chalo mai
lakdiyo ka intezaam karke aata hun.
(Shekhar exit)
(rose turns on radio and news start and copy the wordings in
action) (door knocks, again again Mrs. Rose opens door)
1
Raj- Ji Rosewell Guest house??
Mrs. Rose- Ji haan…..aiyeee…aiyeee….please aaiyee…
Raj- Shukriya! Bahar mausam bohot hi kharab hai aur chaaro taraf pani hi pani
bhara hua he aur dekhiye na, meri gaadi aapke darwaze ke saamne akar band ho
gayi. Ab aap hi bataiye, ese mausam me gaadi chalana kitna risky hai….I guess
you are Mrs. Rose…..Nice to meet u. I am Raj.
Mrs. Rose – Raj Malhotra……ji welcome to our guest house.
Raj- Aap bilkul waise nahi hai jaisa maine socha tha. Mujhe laga tha aap ek khadoos
mem sab jaisi hongi. Aur aapka ye ghar tambe aur peetlon ke bartanon se bana hua.
Lekin esa nhi he. Ye to kaafi shaandar hai aur mujhe yaha bhot maza aane waala
he…….par ek baat kahu, ye jo centre me maze rakhi he wo achchi nahi lag rahi.
Mrs. Rose- Ji hume laga tha ki guest ko pasand aayegi.
(Shekhar enters)
Mrs. Rose- Ji ye hai mere husband Mr. Shekhar
Raj- Hello Mr. Shekhar. I’m Raj.
Shekhar- Hello, kaisa safar raha aapka?
Raj- Arre safar ki to puchiye hi mat. Bahar mausam bohot hi kharab hai. Chaaro taraf
paani hi paani bhara hua tha. Aur mujhe to esa lagta hai jaise koi rakshaqs he jo pure
sehar ko tabah kar dega…..waise Mr. Shekhar, mujhe apka ghar kaafi pasand aaya,
Shekhar – Ji!
Raj - Aur aapki patni kaafi samajhdar hain,
Shekhar – ji bilkul.
Raj - Aur kaafi sundar bhi.
(Shekhar ghoorta he )
Mrs. Rose - Ab aap humein sharminda kar rahe hain.
Shekhar - Ji laiye mai aapka suitcase aapke room me rakh deta hu (takes suitcase
and) Konsa? Room no 4?
Mrs. Rose – nhi nhi, room no. 1.
Raj - Of course, wohi room na, jisme ek aalishaan sa bed hoga,ek badi si khidki aur
ek bada sa aaina.
(Shekhar ghoorta hai ek second, fir chala jaata hai)
Raj – Mrs Rose mujhe lagta hai aapke husband ko mai pasand nahi aaya.
Mrs. Rose – Areee nahi nahi…..esa bilkul bhi nahi he. aap apna kamra dekh lijiye
(Raj & rose exit)
(Door knocks)
(Shekhar enters after knock and opens the door)
Mrs. Porwal - Ye Rosewell Guesthouse hai na?
Shekhar - Ji ji mam….. please andar aaiye.
(Porwal enters)
Mrs. Porwal – Mrs. Porwal, meri booking hai.
Shekhar - Welcome mam, Mai Shekhar Devrutt, yaha ka owner, aap aag ke paas
aake thorda aaram kar lijiye….Mausam bohot hi kharab hai. Aap bas yahi samaan
laayi hain?
Mrs. Porwal - Taxi darwaze tak nahi aa rahi, mere saath Major Singh bhi aaye
hain, vo idhar gaadi se samaan nikaal rahe hain, saara samay toh taxi dhoondhne
2
me lag gaya, villa tak toh koi aane ko taiyyar nahi tha, aajkal ke.
Shekhar - Ji iss asuvidha ke liye mai maafi chahunga, agar humein pata hota ki aap
kis train se aa rahi hain toh mai receive karne.
Mrs. Porwal - Chup raho, You are running a guest house.tumhe har train ka pata
hona chahiye.
Shekhar - Mai jaakar zara major ki madad karke aata hu.
(Shekhar exit for helping)
(Mrs. Rose enter)
Mrs. Rose - Sorry mam, mai kaam me thoda busy ho gayi thi.
Mrs. Porwal - Mrs Devratt?
Mrs. Rose - Ji mai Mrs Devratt hun. Aapko yaha tak aane me koi pareshaani toh nahi
hui na?
(Porwal Mrs. Rose ko neeche se upar dekhta hai)
Mrs. Porwal – aapki umar to kaafi kam lagti he.
Mrs. Rose- ji……kya matlab?
Mrs. Porwal- Ek guesthouse chalane ke liye aapke paas experience toh hoga nahi
Mrs. Rose – ji lekin har kaam ki ek shuruaat to hoti hi hai.
(Shekhar and Major enter
Shekhar - Ji aaiye major, please. . . (Darwaza band karta hai) Ji ye hai meri wife Mrs.
Rose
Major - Hello Mrs. Rose
Mrs. Rose - Namaste
Major - Thank God, we are finally here. Ek pal toh laga tha ki hum yahaan pohoch hi
nahi payenge.
Shekhar - Ji bilkul. Konsa room number? Teen ya do?
Mrs. Rose - Nahi, maine Raj ko room number 2 de diya hai. Um, aap in logon ko
room number ek aur 4 de dijiye.
Shekhar- ok, Aaiye Major, please.
(Shekhar and Major exit)
Mrs. Porwal - Mujhe laga tha ye dhaang ka guesthouse hoga.
Mrs. Rose - ji humne bas abhi shuru kiya hai.
Mrs. Porwal - Shuru kiya hai? kisi bhi kaam ki shuruwat karne se pehle aapko
experience hona chahiye. aur yahan mujhe koi dikhai bhi nhi de raha he.
Mrs. Rose – ji nahi nahi, yahaan kaafi log hain.
Porwal -Upar se ye Mausam
Mrs. Rose- ji ab iss Mausam ka ham kya kar sakte hain?
(Raj enters singing “Three blind mice”)
Raj - ye gaana mujhe bohot pasand hai, kitni tragedy hai na isme? Tabhi to ise
bachche bhi pasand karte hain.
Mrs. Rose - (point karke) Aap hain Mrs. Porwal aur Aap hain Mr Raj?
Porwal - Milkar acha laga.
Raj - Great! Ye ghar kitna achcha hai, nahi? Aapko bhi pasand aaya hoga?
Porwal – Kya achcha hai isme? (gusse me) Mrs Devratt, mai apna kamra dekhna he.
Mrs. Rose - Ji aaiye.
(Mrs. Rose and Porwal exit)
3
Raj - Hahaha, kitni khadoos hai, I don’t like her .
(Darwaza knock) (Shekhar darwaza kholne jata h)
Shekhar - Ji aaiye aaiye, andar aaiye. Myself Shekhar Devratt.
(Solanki enters)
Shekhar- Laiye, ye mujhe de dijiye. Ji aap bas yahi samaan laaye hain?
Solanki - Thank god, yahaan par aag jal rahi hai.
Shekhar - Ji maine poocha aap bas yahi samaan laaye hain?
Solanki - Nahi, bhool jaiye. meri gaadi ek kilometre door kharab padi hai. waise bhi
aise toofan me aadmi khud ko bacha le, wohi bohot hai.
Shekhar- (Shekhar takes raincoat) Ji laiye. Ye hain Mr Raj…... Aur aap?
Solanki – Vishesh Solanki, mere naam se booking hogi.
Shekhar - Ji yahaan ka management meri wife hi dekhti hain. Vo bas aati hi hogi.
Solanki – Yeah sure, I can wait. waise bhi mere paas kaafi waqt he, aur me thodi der
aaram karna chahunga.
(Paper kholta hai)
Solanki - Mausam ki khabar kaafi buri hai. Yaatriyon ko chetawani……..vagerah
vagerah
Raj - akhbar me aur koi khabar hai mausam ke alawa?
Solanki - Vahi politics, arrey haan ek murder hai.
Raj - Murder? Mujhe aisi baatein bhot pasand hain.
Solanki - Unhe lagta hai koi serial killer hai. Shimla me bridge road ke paas kisiko goli
maar di.
Raj - Dikhaiye (paper leke dekhne lagta hai) ....... Zyada kuch nahi likha isme, police
ko ek aadmi ki talaash hai, jise dekha gaya tha kaali topi, kaala raincoat aur kaale
color ka muffler pehne hue.
Solanki - Description achcha hai, kisi par bhi fit ho sakta hai.
Shekhar - Marne wale aadmi ka naam kya hai?
Raj - Mr Makhijia.
Shekhar - Budhdha ya jawaan?
Raj - Isme nahi likha hai.
(Mrs. Rose enters)
Mrs. Rose - ahem….
Shekhar - Ye hain Mr Solanki…... Mr Solanki, ye hain meri wife Mrs. Rose.
Solanki -Hello.
Mrs. Rose -Aaiye apna kamra dekh lijiye.
Solanki – yeah sure.
(Shekhar, Solanki and Rose exit)
(Raj Sings “three blind mice and then exit)
(Shekhar and rose enters)
Shekhar - Tumne Raj ko sabse achcha kamra kyu diya?
Mrs. Rose - Usko wohi kamra pasand aaya isiliye..
Shekhar – Rose, Mujhe is tareeke ke log bilkul nahi pasand. Unka suitcase uthaane
me lag rha tha ki wo poora khali hai. Ye shayad un logo me se he jo aapke guest
house me aake logo ko lootte hai.
Mrs. Rose - Are nahi wo acha insaan hai…par haan, ye Mrs. porwal mujhe bohot
ajeeb lagi. Wese Shekhar ek baat bolun…. hamare saare guest hi ajeeb hai, major
4
sahab ko chod kar.
Shekhar – Kher ab farak kya padta hai saare guest to aa hi chuke hai.
(Door knoks)
Mrs. Rose - Ab ye kon hai?
Shekhar – Lagta hai Bridge road wala khooni hoga.
Mrs. Rose - Chup raho.
Shekhar - Ruko mai dekhta hun.
Shekhar- Ji?
(vishambar enters)
Vishambar-Bohot bohot maafi chahunga (sochta he) .... aap bata sakte he mai kaha
hun?
Shekhar -Rosewell guest house.
Vishambar-Ahh... badi achchi kismat hai. Upar wale ki badi meherbani. Ek guest
house aur ek sundar host. Meri gaadi toofan me phaans gayi he. Chaaro taraf pani hi
pani. Zaroor badal phata hoga. Mujhe laga mai mar jaunga. Fir mai chalne laga, is
umeed me ki koi darwaza dikhe aur Aapka ghar dikha. Yaha tak aane me mai do baar
gira, par pahuch hi gya. mujhe kamra mil skta he?
Shekhar-Ji zaroor?
Mrs. Rose-Par wo thoda chota hoga.
Vishambar-Yaha aur bhi guest honge?
Mrs. Rose -Haan aaj hamara pehla din he.
Vishambar - Bohot khoob.
Mrs. Rose - Aapka samaan?
Vishambar - Koi zaroorat nahi he. car me lock kar diya he aur waise bhi meri
zaroorate bohot kam he. mujhe jo kuch bhi chahiye…. wo sab kuch is bag me he. Har
ek cheez.
Mrs. Rose - Ji aap aag ke paas aake thoda araam kar lijiye. mai aapka karma ready
kar deti hun.
Vishambar - Matlab yaha kaafi guest he.
Mrs. Rose - Ji.
Vishambar - Haan bohot khoob hai... the unexpected guest. Wo guest jise aapne
bulaya nahi. wo guest jo achanak se aaya, kaafi dramatic hai na. Mai kon hun aapko
nahi pata. Mai kaha se aaya aap nahi jaante. Mai khud ek rahasya hun ….. ab na koi
aaega na koi jaega. Kal tak hum log is puri duniya se alag honge, na doodh wala, na
postman, na akhbaar ….. koi nahi... koi nahi sirf hum sab akele. Achcha hai. Isse
behtar mere liye aur kuch nahi ho skta. wese mera naam vishambar hai. Aap?
Shekhar – Ji me Shekhar devrutt.
Vishambar - Aur iss jagah ka naam Rosewell guest house?
Shekhar-Ji. aaiye me aapko aapka karma dikha deta hun.
Vishambar-Bhadiya, bohot khoob.
(Lights off)
(Lights on)
(Mrs. porwal, major, Solanki enters)
Mrs. Porwal - Ye to poori tarah se cheat karna hua. In logo ne hame bataya bhi nahi
tha ki ye guest house pure tarah se naya he. Wese mujhe samajh nahi aata ki yahan
5
ka sabse acha bedroom us ajeeb se ladke ko kyu diya gaya he.
Major - Wo yahan sabse pehle aaya tha... first come, first serve. ab isme itna bhi kya
mind karna.
Mrs. Porwal -Kitna ajeeb ladka hai. Poori tarah se pagal lagta hai.
Major - kahi pagal khane se to nahi bhaga he?
Mrs. Porwal - Ho bhi sakta hai, koi bharosa nahi he.
Solanki – thodi Aag bad jae to maza aa jae.
Mrs. Porwal - Ye to coale ka istemaal bhi nahi karte. Mehmano ka to yahan pe kisiko
dhyaan hi nahi hai.
Solanki - Nahi aisa bhi nahi hai.
Mrs. Porwal - Sab kuch bikhra hua he, bachkana he...tum yaha jyada tak din rahoge?
Solanki – It depends. Mujhe yaha kuch zaroori kaam. mera kaam hote hi me yaha se
chala jaunga.
Mrs. Porwal - Kaam kaha, Shimla me?
Solanki – ji nahi, yaha Dalhousie me.
Mrs. Porwal -Yahaa!
Mrs. Porwal- Waise I think you are a journalist. Tumhe politics wagera me kaafi
interest hoga.
Solanki- Not exactly mujhe politics me koi khaas interest nhi h. Aur na hi mai
journalist hun.
(Solanki gana bajata he)
Mrs. Porwal- Excuse me…Mujhe lagta h aap isse kam awaaz me bhi gaana
sun sakte he. Mujhe nhi pasand jab mai padhu ya likhu tab koi itni tez awaaz
me gane bajaye.
Solanki- Mujhe ye gaana pasand hai. Padne ke liye yaha aur bhi jagah hai. Aap
waha jaa sakti he. I think you should go to Library.
(Porwal exits)
(Raj enters)
Raj-Ye kitni khadoos hena. Radio ki awaaz bahut tez hai kya mai kam karlu?
Solanki- Haan sure, mera kaam to ho gya. Mujhe is jagah ki sabse achchi chair mil
gyi.
Raj- Aree bahar to baarish ho rahi he. Aapko baarish pasand he. Mai to jab bhi
baarish dektha hun sab bhool jata hun .
Solanki- aur mujhe sab kuch yaad aajata he.
Raj- Kya
Solanki- Kali Andheri raat, tez baarish, thand me kapkapata bachche, sehme hue,
dare hue se.
Raj-Are aap to writer he.
Solanki- Sorry to disappoint you. But I am not.
(Raj exits)
(Phone rings and Mrs. Rose enters)
Mrs. Rose - (Phone uthati hai) Hello!!! Ji ye Roswell Guest House he…..Ji Shekhar
abhi telephone pe nahi aa sakte. Aap mujhe bataiye. Me unki wife hun, Rose……..,
Dalhousie Police Headquarters se?
(Solanki reaction deta he)
Ohh haan haan, boliye SP sahab, Ji mujhe nhi lagta yeh mumkin he. Wo yaha tak
6
nahi pahuch payega. Yahan barish aur toofan ki wajah se saari sadke jaam he. Ese
toofan me kisi ke liye bhi aana jaana bilkul namunkin hai…ji……. Ji …. par kya….
Hello? Hello?...
(Phone cuts)
(Shekhar enters)
Shekhar - Rose, wo dusra toolbox kaha rakha he?
Mrs. Rose - Shekhar, abhi abhi Dalhousie Police Headquarters se SP sahab ka
phone tha. Wo keh rahe the yaha koi Inspector aane waala he.
Shekhar – Inspector,
(Solanki gives a look and exits)
Par kyun?? Unhone kuch aur bataya??
Mrs. Rose - maine bhi unse wohi pucha. Par unhone koi jawab hi nhi diya. Bas
itna kaha ki apne husband se keh dijiyega ki uss Inspector ki saari baaten dhyan
se sune aur wo jaise bole waisa karen.
Shekhar - Akhir hamne esa kya kiya he? Jab me bahar gaya tha tab to meri wajah
se koi haadsa nahi hua tha. Mujhe lagta he shayad unko hamare is guest house ke
chalane se koi dikkat he. Shayad aaj kal ke ministry ke kuch rules nd regulations
hamne miss kar diye honge. tum ghabrao mat.
Mrs. Rose - Ohh God. ek to ye barish aur toofan aur upar se ab ye police.
Shekhar - offo, tum bekaar me hi pareshan ho rahi ho. Sab thik ho jayega. Mujhe
lagta he zaroor kuch urgent hoga warna itni barish me aana bhot mushkil he.
(Porwal enters)
Mrs. Porwal - Oh Mr. Devratt, aap yahan he. Library ka heater kharab ho gaya
he. please go get that repaired.
Shekhar – yes mam, me abhi thik kar deta hu.
(Shekhar exits)
Mrs. Porwal - Mrs. devrutt, Bura mat maniyega, par aapne ek bohot hi ajeeb
ladke ko yaha rehne diya he. wo bilkul pagalon jaisi harkate karta he.
Mrs. Rose- ji nahi,Aapko koi galatfehmi hui he. Wo acha ladka he.
Mrs. Porwal- Mrs. Devrutt, apko apne saare guest ki kanooni taur par jankari honi
chahiye.
Mrs. Rose - Haan, aapse jyada kanoon ke baare me aur kaun jaan sakta he.
Mrs. Porwal - Kya matlab?
Mrs. Rose - Aap magistrate thi, he na?
Mrs. Porwal – Mujhe jyada kuch nhi kehna, me bas aapko warn kar rahi hun. ab
jaise ye aapka ek aur guest… Vishambar, uska yaha rehna to banta hi nahi he.
Vishambar - Savdhaan, aapne shaitan ka naam liya aur wo haazir he.
Mrs. Porwal - Mai tumko aate hue nahi suna.
Vishambar - Mai dabe pau aaya. agar mai na chahun to kisi ko sunne nahi
deta...
Mrs. Porwal - Mujhe apne letters poore karne he. mai drawing room me jaa rahi
hun. Shayad waha thand kam ho.
(Porwal exits)
Vishambar - Aap kuch pareshaan lag rahi he. kya hua?
Mrs. Rose - Aaj saare kaam badi mushkil se hue.
7
Vishambar - toofan me kaam karna wakayi me mushkil ho jata he, ya shayad asaan
…haan bohot asaan.
Mrs. Rose - aap kehna kya cha rahe he…...me kuch samjh nahi paa rahi.
Vishambar - aap dono ko logo par itna bharosa nahi karna chahiye. zara sochiye,
jo log aapke ghar me so rahe ho, aapko unke baare me kya pata… jaise mai. mai
aaya tha to maine bola tha meri ki gaadi toofan me phans gayi he. aapko mere bare
me kya pata, mai koi khooni, krantikari ya kidnapper hua to?
Mrs. Rose - Ji aap thik keh rahe hai, par jis tareeke se Mr Porwal ghadi ghadi gussa
hoti he…...
(Porwal enters)
Porwal – Kaisa guest house he ye. Drawing room me bhi bohot thand hai. Mujhe
letters yahi khatam karne padenge.
Vishambar - chaliye, aag mai tez kar deta hun.
(Major enters)
Major - Mrs. Rose, aapke husband kaha he?
Mrs. Rose - kya hua?
Major – wo shayad washroom se paani bahar aa raha he.
Mrs. Rose - o god, pehle police aur ab ye.
(Police ka naam sunte hi Vishambar ke haath se aag jalane wali rod gir jati)
(Aur major chaunk jata h)
Porwal and Vishambar together—police.
Mrs. Rose – ji Abhi abhi SP Sahab ka phone aaya tha, keh rahe the ki koi Inspector
aane wala he poochtach karne.
(Shekhar enters)
Shekhar – lakadiyan lagbhag khatam hone wali he aur ye toofan he ki rukne ka
naam hi nahi le raha……... kya hua?
Major - Mr Shekhar, yaha police kyun aane wali he.
Shekhar - are dariye mat. koi bhi gaadi nahi aa ja nahi sakti he. Sabhi raaste band
he aur aage baadal bhi phata he.
(-----Door knocks----)
(Inspector enters)
Inspector- Ji aap Mr. Shekhar he?
Inspector-Ji mai himachal police headquarter se.
Shekhar-Ji han inspector sahab. aaiye andar aaiye. Ji aap Kaafi bheeg chuke he, mai
aapko towel de deta hun…aap khud ko pehle sukha lijiye. aaiyee.
Inspector- Ji…chaliye.
(Inspector exit with Shekhar)
Raj- Ye aadmi kon hai aise Mausam me kese aa gya
Mrs. Porwal- Wo policewala hai. inhe experience hota h har tough situation me apna
kaam bakhoobi nibhanna jante he wo.
Vishambar- Aapne police ko kyu bulaya?
Mrs. Rose- Mene nahi bulaya.
Major- Mrs Rose kya mai phone use kar skta hun?
Mrs. Rose- ji waha he.
8
Major- ye to dead he.
Mrs. Rose- Dead h! abhi thodi der pehle to theek tha.
Major- Shayad toofan ki wajah se kharab ho gya hoga.
Raj- Great ab hum baki duniya se alag ho gaye he(sarcastically) landline gaya,
mobile me bhi network nahi he aur sadke bhi jam hai, kitna mazedar hai na?
Major- Ye Mazak karne ka time nahi hai.
Solanki- Aakhir aisa kya ho gya ki itne kharaab Mausam me police ko yaha aana
pada
Mrs. Rose- Pata nahi.
(Inspector enters)
Inspector- to Mr. and Mrs. Devrutt, aap iss guest hosue ke owner he.
Shekhar- ji. Agar aapko humse kuch akele me baat karni ho to ham udhar
library me chal sakte hai taki hamare guest ko takleef na ho.
Inspector- ji Nahi agar aap sab log ek sath honge to kaam jaldi ho jayega.
Mrs. Rose- Lekin inspector sahab baat kya hai?
Inspector- Dekhiye ghabrane ki koi baat nahi hai. Baat asal me aapki safety ki hai
Mrs. Rose- Safety?
Inspector- Ye baat Mr Makhija ke murder case se related hai. iske baare me to
apne suna hi hoga!
Solanki- Haan mene akhbhar me pada tha … ye wahi hena jinki goli maar ke
hatya kar di gyi thi.
Inspector- ji sir. Shekhar sahab mai sabse pehle aapse janna chahta hun. Aap Mr
Makhijia ko jante the?
Shekhar- Ji nahi, kabhi naam nahi suna.
Inspector- Unka poora naam Yeshlam Makhijia tha. Wo children welfare society ke
founder aur chairman the. Aur haan wo famous durgahtana jisme raat me anathalya
ke bachche aag me jal gaye the, aapki jankari ke liye batadu, sare bachche nahi
mare the, unme se do bach gye the.
Solanki- Do bach gye the?
Inspector- ji haan. Laparwahi ki wajah se Adalat ne Makhija ko 10 saal ki saja aur 6
lakh ka jurmana sunaya tha
Solanki- Ji han ye to kafi popular case tha.
Mrs. Rose- Bohot hi bura hadsa tha.
Inspector- Mr Makhija apni saja kaatke kal hi riha hue aur kal hi bataya unka
kisine murder kar diya.
Mrs. Rose- Par kisne kiya hoga
Inspector- Mai wahi pooch rha hun. Crime scene par ek notebook mili thi jisme
do address the pehla bridge road Shimla aur doosra Rosewell guest house.
Shekhar- kyaaa?
Inspector- Ji sir, aur ye khabar milte hi mujhe yaha bheja gya, ye pta lagane ke liye
ki children welfare society aur is guest house ka ya fir rehne wale logo ka kya
relation hai.
Shekhar- Ji nahi…. koi relation nahi hai. Ye sirf ek coincidence ho skta hai.
Inspector- Magar SP sahab ko ye coincidence nahi laga. Wo khud yaha aane
wale the par kharab Mausam ke chalte mai yaha aaya jisse yaha ki sari
9
information mai unhe de saku aur ghar ki safety bhi mai hi karunga.
Shekhar- Safety? Hume kis baat ki safety?
Solanki- Aapka matlab hai hum log me se kisi ko khatra hai?
Inspector- Mai kisi ko darana nahi chahta magar haan aisa ho sakta hai.
Mrs. Rose- Inspector sahab aap ye itne yakeen ke saath kaise keh sakte he,
Inspector- Ji haan Mrs. Rose us book ke neeche ek line aur likhi thi 3 blind mice.
Aur lash ke upar ek kagaz tha jispe likha tha ye pehla hai aur uske neeche 3 chooho
ki drawing.
(3 Blind Mice song)
(Mrs. Rose sings 3 blind mice)
Mrs. Rose- ohh god, ye sab kuch kitna darawana he.
Solanki- Un do bachcho ka kya hua?
Inspector- un dono me se chote wale ko kisi unknown inssaan ne adopt kar liya.
Ab wo bhi pta nahi kaha h. Bada wala 17 ka ho gya hoga. Pehle wo army me tha
waha se bhi bhaag gya. Ab wo bhi gayab. Army me ajeeb harkat krta tha. Army
psychologist ka manna h ki beemari h jisse wo apni hi banayi duniya me rehta hai.
Mrs. Rose- To aapka matlab usine ye murder kiya hai.
Inspector- Ji filhaal to hame sirf shaq he.
Mrs. Rose- Matlab wo ek pagal khooni hai aur yaha kisi aur ko maarne aaega
par kyu?
Inspector- Mujhe bhi wahi pata krna hai. SP sahab ka bhi wahi manna h ki koi na
koi connection zaroor hoga. Shekhar sahab aap keh rhe the ki aapka Children
Welfare Society se koi lena dena nahi hai sahi?
Shekhar- Haan sahi
Inspector- Aur aapka madam
Mrs. Rose- Haan…. mera matlab nahi mera koi connection nahi h (Doubtful answer)
Inspector - Aur yaha koi naukar kyun nahi dikhai de rahe?
Mrs. Rose - Hamare yaha naukar nahi h, sorry mujhe kitchen me kuch kaam
hai…kya me ja sakti hun?
Inspector-Haanji bilkul
(Mrs Rose exits and then everyone exits)
Inspector: – Excuse me – kya main aap logo se kuch pooch sakta hu.
Mrs. Porwal - Par kyu? Hum log kal hi yahan aaye hai. sab saath me ruke hue he.
Hamara isse koi lena dena nhi he.
Inspector - Aur aapne yaha ki planning aur booking pahle se hi karwai thi.
Mrs. Porwal- haan pehle se hi karayi thi….siwaye Mr. Vishambar ke. ye yaha bina
booking ke aaye the.
Vishambar- Main is toofaan me fans gaya tha.
Inspector- Dekhiye aap sabhi bhet jaiyee. mujhe galat mat samajhiye, agar koi
aapka peecha kar rhaa hoga to usko pata hoga ki aap yaha aayenge. Ab mujhe ek
baat jannni hai aap me se kisika “Children welfare society” se connection hai?
Inspector- Dekhiye aap logo ko pooch-tach me sahyog karna chahiye. Aap me
se koi ek bohot bade khatre me hai.
Porwal- Kon hai wo?
Inspector -Yahi pata lagane mai yaha aaya hun! Main ek- ek karke sabse poochta
10
hun.
Inspector (Vishambar se)- Visahambar Sahab aap yaha bina booking ke aaye to
aap se shuruwaat karta hun
Vishambar – Dekhiye Inspector, aapne jo kuch bhi bataya mujhe, uske alawa kuch
nahi pata.
Inspector (Porwal se)- Aur aap mam.
Mrs. Porwal - Mujhe samajh nahi aa rha ki mujhe isme kyu ghaseeta ja raha
hai. mera in sab se koi lena-dena nahi he.
Inspector (Solanki se)- Sir aap?
Solanki- Mai utna hi jaanti hun jitna mene paper me pada tha. nothing else.
Inspector (Major se)- Aur aap sir?
Major- Haa suna tha, lekin us samay hamari posting Laddakh me thi. Iske alawa
kuch nahi pta.
Inspector (Raj se) - Mr. Aap?
Raj- Tab main chhota tha mujhe thik se yaad nahi.
Inspector - Kisi ko aur kuch kehna h. Mai firse poochta hun kya kisi ko kuch kehna
hai? Thike! Agar aap logo me se koi marta hai to usme meri koi galti nahi hogi.
Inspector (Shekhar se)- Shekhar sahab, kya main aapka poora ghar dekh sakta hu.
Shekhar- Why not.
Inspector- Ji chaliye
Raj(excited hokar)- Kamaal ka policewala hai, kitna dramatic hai ye sab kuch, kya
thi wo tune.
(Three blind mice)
(Porwal bich me tokte huye)
Mrs. Porwal- bas karo.
Raj- Kyu? Aapko pasand nahi aayi? Ye to usi murder ki signature tune hai. Sochiye
use kitna maza aaya hoga.
Mrs. Porwal (Raj ko dantte huye)- Tum bekar ki baat karne ke aadi ho, main nahi
manti ye sab.
(Raj exits singing “3 blind mice”, Mrs Rose enters)
Mrs. Porwal (pareshaan hokar)- Bohot hi badtameez aur pagal ladka he. ye bahut hi
ajeeb harkate kar raha hai .
Solanki :- Wo dara hua hai isliye aisi harkate kar rha he .
Mrs. Porwal(irritate hokar) :- wo dara hua hai, darne wale log mujhe nhi pasand. Main nhi
darti kisi se .
Solanki- Nahi darti ! Tab to aapke liye achcha hai.
Mrs. Porwal :- Kya matlab?
Solanki (thodi tez aawaj me) -Ek baat bataiye - Aap us commission ki head thi na
jisko “children welfare society” ke case ke bare me investigation ki jimmedari saunpi
gayi thi.
Mrs. Porwal- haan Main us commission ki head thi to kya, baki sadasyo ne jo mujhe
report di thi, maine adalat ko sauff di thi. Meri isme koi galti nahi he.
Major- Mujhe lag hi raha tha ki aap hi ka connection he iss case..
11
Mrs. Porwal- Aap chahe jitna bhi accha kaam kare lekin log aapki sirf galtiya hi
nikalenge………
Vishambar- I`m sorry, lekin ye sab bada interesting hai.
Porwal-Mujhe ye aadmi bilkul pasand nhi [and exits]
Mrs. Rose (kitchen se wapas aati huyi)- Shekhar kaha hai?
Major- wo inspector ko ghar ka tour karwane gaya hai.
Solanki- ji ye vishambhar, ye kaha se aya.
Mrs Rose- ji pata nahi, usne kuch bataya nahi.
Solanki- Kafi ajeeb aadmi he. apne use Nazdeek se dekha?? wo jitni umar ka dikh
raha he use kayi jyada ka he.
Major- paani khatam ho gya hai, main lekar aata hun.
(Background me 3 blind mice piano pe)
Mrs Rose- Bahut hi manhoos gaana h ye.
Solanki- Aisa kya he iss gaane me. ye gaana bachpan ki yaad dilata he. bas depend
karta he ki aapka bachpan kesa tha.
Mrs. Rose- Mera bachpan bahut achcha tha
Solanki- tab to aap kaafi lucky he.
Mrs Rose- kyun Aapka bachpan achcha nahi tha kya
Solanki- Nahi!
Mrs Rose- Koi baat nhi. bachpan ki yaade kaafi gehri hoti he. lekin log kehte he
waqt ke saath cheeezen thik ho jaati he.
Solanki- Log kehte he…..kon kehta he.
Mrs Rose- Yahi therapist.
Solanki- Bakwaas kehte he ye log. aur waise bhi me in logo se kabhi mila nahi.
Mrs Rose- Achha hi he, wese bhi ye sab bekaar ki baate h, hume apni zindagi me
kabhi peeche mud ke nhi dekhna chahiye
Solanki- Shayad aap thik keh rhi h, lekin kabhi kabhi kuch cheeze hamara peecha
kabhi nhi chodti.
Mrs Rose- Depend karta h aap zindagi ko kis tarah jeete he.
Solanki- Shayad aap theek keh rhi he.
Mrs Rose- Ji han shayad! Kabhi kabhi mujhe khud pata nhi chalta ki me kya keh rahi
hun.
Solanki- aapse baat karke acha laga. mujhe ab apne kamre me chalna chahiye.
(Inspector and Shekhar enters)
Inspector- Andar to sab kuch thik hai. Maine saari baate gaur kar li hai, sab cheez
normal hai, mai SP sahab ko bata deta hun. Are! Kya aap me se kisi ke mobile me
network hai.
Shekhar- Ji kai dino se yaha server poori tarah se jam hai. Yaha aksar hi aisa ho
jata h.
(Inspector phone ke pass jata hai)
Mrs. Rose (beech me)- Koi fayda nahi wo bhi dead hai.
Shekhar -Kya? Ye kab hua?
Mrs. Rose- Abhi Major ne try kiya tha, tab nahi chala tha.
Inspector- Pehle to chal rha tha SP sahab ne khud baat ki thi.
Mrs. Rose- Ji ha SP sahab se baat karne ke baad shayad
12
line kharab ho gayi.
Inspector- Kharab ho gayi ya kharab kar di gayi.
Shekhar- Par kon kar sakta hai?
Inspector- Aap apne guest ke baare kitna jante hai?
Shekhar- Jyada kuch nahi par……..
Mrs. Rose (bich me)- Par Inspector sahab agar koi hume marna chahta h to wo
aise mausam me aa hi nahi sakta. Mausam ki wajah se hum log safe hai.
Inspector- Haa, agar wo yaha pehle se nahi hai to.
Shekhar- Pehle se?
Inspector- Kyu nahi ho sakte? Ye log kal hi yaha aaye h na. Mr. Makhijia ke marne
ke kuch ghanto baad.
Shekhar-Haa, Mr. Vishambar ke alawa yaha sabki advance booking thi.
Inspector- Achcha to ye sab kuch pehle se plan tha.
Shekhar- Sab kuch, maaf kijiye Inspector sahab abhi ek murder hua hai wo bhi
bridge-road par Shimla me. Mujhe vishwas nahi ho raha, ye sab kuch bilkul
magadanta hai.
Inspector- Ye magadanta nahi hai. Hamare pass saboot hai.
Mrs. Rose- Inspector sahab aapko pata hai wo aadmi dikhta kaisa hai.
Inspector- Kaale rang ka rain coat, muffler se chehra dhake huye, medium height ka
hai. Aur yaha 3 rain coat tange hai.
Shekhar- Ji ek mera, baki 2 guest ke.
Mrs. Rose- Mujhe to ab bhi bhrosha nahi ho rha hai.
Inspector- Mujhe to is telephone ki chinta hai agar kisi ne.
Inspector- Yaha koi dusra phone hai?
Shekhar- Ji aapne kuch kaha?
Inspector- Yaha koi dusra phone hai?
Shekhar- Ji mere bedroom me hai.
Inspector- Zara usko check kariye please.
(Shekhar exits)
Inspector- Darwaje ki taraf chala jata hai.
(Porwal enter karta hai aur table par rakhe radio ko sigdi ke pass le jakar start karta
hai)
Radio – aaj vigyan par charcha kar rahe hai professor sahab aap hamare srota
ko yeh bata rahe the ki dar kaise kam karte hai
Prof- dekhiye dar kaise kam karte hai yeh samajhne ke liye hame yeh dekhna
aur samajhna hoga ki insaan ka dimag kaise kaam karta hai kyu ki dar insaan
ke dimag par hi sabse pehle asar daalta hai jara sochiye ki bhayanak toofan
13
me aap ek kamre par akele baithe hai, andhera ho chuka hai tabhi piche se ek
awaj aati hai meaaoo meaooo)
(aur radio band ho bhar bhar karta hai)
(Mr Porwal kurse se uth kar dar jata hai or bolta hai)
Porwal - in logo ke pass or kuch nhi hai kya
(or phir wo radio band kar deta hai)
(or chair par baith jata hai or kuch likhta hai)
(itne mai light band ho jati hai)
Porwal - yeh kya light kisne band kar di
(or andhera hone par mr Porwal ke marne ki awaaz aati hai)
(Porwal ki dead body dekh ke Mrs Rose chillati hai)
(Shekhar, Solanki, Major, Raj, Vishambar then Inspector enter)
Inspector: Ye kaise ho gaya?
[Lights off]
[Lights on]
Inspector- Mrs. Rose! Mrs. Rose! yaad kijiye
Mrs. Rose – (rote hue) Mujhe kuch bhi achche se yaad nahi, mera dimag kaam nahi
kar raha.
Inspector- Mrs. Porwal ke marte hi aap turant ander aayi thi …...aapne kuch dekha
ya suna hoga.
Mrs. Rose- Kamre par bohot sannata tha, aur kisi ne light band kar di thi
Inspector- Jaroor yeh khooni ne kiya hoga. aap kuch aur bataiyee.
Mrs. Rose- Haa maine shayad darwaje khulne ya band hone ki awaj suni thi
Inspector- Konsa Darwaja??
Mrs. Rose- Mujhe nahi pata
Inspector- Jaroor khooni ne apko aate hue sun liya hoga or phir jhatke se kisi gate
se bhaga hoga, mrs. Rose yaad kijiye konsa Darwaja tha wo pass ka koi, ya left ka
Mrs. Rose - Mujhe nahi pata (chillate hue)
Shekhar- (chillate hue) Usko aur pareshaan karna band karenge aap. dekh nahi
rahe uski halat.
Inspector- Shekhar sahab yaha ek murder hua hai. Murder! Aap logo ne abhi tak
meri baat ko serious nahi liya. Mr Porwal ne toh bilkul bhi nahi. Unhone sab kuch
chupaya or aap logo ne sach nahi bataya. Abb jald hi humne kuch nahi kiya to agli
bari hum mai se kisi ki hogi.
Shekhar- Koi aur bhi, par kyu?
Inspector- Kyu ki wo 3 chuhe the.
Shekhar- Par children welfare society se yaha ka koi connection bhi to hona chahiye
14
Inspector- connection to hai. Mr. Makhija ki dead body ke pass mili note book me
do address the, pehla bridge road jaha par ek insaan tha jo mar chuka hai, yani ek
chuha, aur ab Mr Porwal yani doosra. Ab yaha Rose well guest house me kafi
chance hai ki teesra chuha hamare bich me hi hai.
Solanki- Ye possible hi nahi hai ki children welfare society se jude sabhi log by
chance ek hi jagah maujood ho.
Inspector- Iss tarah ke halat yaha ban gaye hain ki mujhe nahi lagta ki ye koi
coincident hoga. Jara dekhte hain mr Porwal ke murder ke waqt aap sab log kaha
the. Mrs. Rose ne bataya ki wo kitchen me thi or kitchen se wo bahar aayi…...
corridor se hote hue. Lights off thi. Unhone lights on ki or unki nazar Mr Porwal par
padte hi vo chillayi.
Mrs. Rose- Ha mere chillane ki aawaz sunke baki log andar aaye.
Inspector- aur ha phir aap sab log lagbhag alag alag taraf se ek saath andar aaye.
Mr. Porwal ke murder se pehle jab mai bahar nikla tha tab Shekhar sahab aap apne
bedroom mai gaye the telephone check karne. Jab Mrs. Rose chillayi tab aap kaha
the?
Shekhar- Ji mai apne bedroom me tha. waha ka dusra telephone bhi dead hai, aur
phir mai wahi khidaki se dekhne laga kahi phone ka wire kata hua to nahi hai, lekin
mujhe nahi dikha. jab mein khidki band kar raha tha tabhi mujhe rose ke cheekhne
ki awaaz sunai di aur me phir gallery se yaha andar aagaya.
Inspector- Itna sa hi kaam karne mai apko jyada samay nahi lag gaya?
Shekhar- Ha shayad us samay mai kuch sochne laga tha.
Inspector- Mr Raj aap kaha the?
Raj (haklate hue) -Pehle mai kitchen me tha, Mrs. Rose ki madad kar raha tha or
phir mai bedroom me chala gaya.
Inspector- Kyu??
Raj- Mera akela rehnne ka man tha.
Inspector- Aap bedroom me akele rehne gaye the?
Raj- Han kangi karne gya tha, taiyaar hone.
Inspector- Kya aapne Mrs. Rose ki awaaz suni?
Raj- Haan
Inspector- Aur tum bhag kar gallery se andar aaye
Raj- Haan
Inspector- Kamal ki baat hai aap aur Shekhar sahab gallery mai takraye nahi
Raj - Unka kamra gallery ke aakhiri mai padta hai mai bhag kar unse pehle aa gaya
honga
Inspector- Pehle ya baad me.
Raj- thik se yaad nahi.
Inspector- Vishambar sahab aap kaha the?
Vishambar-maine bataya aap ko mai drawing room me piano baja raha tha
Inspector- kisi ne aapko piano bajate hue suna
Vishambar- Mujhe nahi lagta, mai bohot aaram se baja raha tha
Vishambar- Ha par koi siti bhi baja raha tha 3 blind mice ki
Inspector- Siti kaha
15
Vishambar- Pata nahii shayad, isi hall mai ya gallery mai kuch keh nahi sakta
Inspector- 3 mice ki siti kon baja raha tha? Vishambar sahab aap jhoot to nahi bol
rahe
Vishambar- Ji nahi Inspector. Mai jhoot kyu bolunga
Inspector- Thik hai aap aage bataiye aap drawing room mai piano baja rahe the
Vishambar- Aur phir maine radio ke awaj suni or uske kuch hi der baad Mrs. Rose ki
cheekh sunai di.
Inspector - Major sahab aapne bataya aap basement mai the, kya mai jan sakta hu
aap vaha kya kar rahe the?
Major- Are bas aise hi mai vaha ghoom raha tha, maine kitchen ke side mai ek
chota sa Darwaja dekha jo basement ka tha mai uss se ho kar vaha chala gaya
waise (Mrs. Rose ko dekte hue) Aapka basement kaafi acha hai.
Inspector- Aap thoda serious honge? Mrs. Rose ne bataya ki unhone darwaza band
hone ki aawaj suni aur basement ka darwaaja aawaz karta hai, toh aisa ho sakta hai
ki khooni ne mr Porwal ko marne ke baad Mrs. Rose ki awaaj suni, aur wo uss
darwaje se bhaga.
Major- hone ko to bohot kuch ho sakta hai
Inspector- Shekhar sahab apne room par, mr Raj apne room par, Vishambar sahab
drawing room par piano baja rahe the aur major sahab aap basement me the.
solanki sahab, aap kaha the?
Solanki- Mai library me letter likh raha tha
Inspector- Aapne kuch suna yaha kya ho raha tha
Solanki- Nahi Mrs. Rose ke chillane se pehle maine kuch nahi suna tha
Inspector- uske baad?
Solanki- mai yaha aa
gaya
Inspector- turant?
Solanki- shayad
Inspector- aap library me letter likh rahe the or aap bhag kar andar aaye, par library
mai koi adhura letter nahi hai
Solanki- Kyuki wo mere pass hai inspector
(pocket se letter nikal te hue)
(Inspector letter leta hai or dekhta hai)
Inspector – Dear Vishal, dost ya rishtedar.
Solanki- It’s none of your business inspector.
Inspector- Shayad nahi, agar mai koi room mai baith kar letter likh raha honga aur
mujhe kisi ke chekhne ki awaaj sunayi deti hai to mujhe nahi lagta ki mai pehle
letter ko fold karunga, apni jeb mai dalunga aur phir dekhne aaunga.
Solanki- Oh Really! Interesting. par aap isse saabit kya karne chahte he.
Inspector- dekhiye me kuch saabit nahi karna chahta. me bas itna janna chahta
hun ki kiske paas khoon karne ki wajah or mauka dono thi aur rahi baat khun
karne ke mauke ki to wo to sabhi ke pass thi.
16
Sabhi ekk sath – Kya baat kar rahe hai aap, aap kaise bol sakte hai?
Inspector - Aisa isliye kyuki murder ke samay aap sabhi akele the aur iss ghar mai
koi bhi kahi se aa ja sakta hai.
Shekhar- Lekin aap sab par shak kaise kar sakte hai
Inspector- Dekhiye yaha ek murder hua he aur aap sabhi shaq dayare me he.
Shekhar- Dekhiye Inspector ye baat aap bhi jante hai ki Shimla me bridge road
par jo khoon hua uska shaq seeddha seedha ek hi insaan par jata hai, jo ki ek 20
se 21 saal ka ladka he, abnormal hai, aur faraar he aur hum sabhi jante hai ki yaha
aisa ekk hi ladka hai (Raj ki taraf bolte hue)
Raj-Ye sab galat hai. Aisa kuch nhi hai. Aap sab mere khilaf hai. Aap sab mere pe hi shaq kar
rhe hai. Ye mujhe arrest kar lenge.
Mrs. Rose-Are shaant hojao ….kuch nhi hua. Sab thik hai sab thik he koi tumhare
against nhi he. Inspector isko bataiye ki aap isko arrest nhi krenge na.
Inspector-Filhal to mai kisiko arrest nhi krunga uske liye mujhe aur bhi saboot
chahiye.
Shekhar-Tumhe ho kya gya hai Rose. tum isse bachana kyun cha rahi ho.
Mrs. Rose- Mai bas ye bol rahi hun ki shaq to kisi aur par bhi kiya ja sakta hai
Inspector- kya matlab.
Mrs. Rose- khooni umar me chota hi kyun..bada bhi to ho sakta he.
Inspector- jese ki?
Mrs. Rose- ho sakta hai ki ye wohi insaan ho jisne uss dusre bachhe ko god liya ho?
Inspector- Ho sakta hai. lekin adopt krne wale us shaqs ko dhoondna bohot mushkil
hai
Mrs. Rose- Matlab aapko nahi pta wo is waqt kaha hoga. Zara sochiye, wo bacha
roz us aadmi ko, aag me jalte bachcho ke dardnak hadse ko batata raha hoga, aur ye
sunte sunte usne ek din iss case se jude sabhi laparwah logo ko saza dene ki thaan li
ho.
Inspector- Ye sirf ek kahaani hai.
Mrs. Rose- lekin agar iss kahani me zara si bhi sachai hai to khooni umra me bada
bhi ho sakta hai
Vishambar- Han ek badi umra ka aadmi jo ghoonegar ko badalne se jyada use
kathor se kathor saza dene me vishwas rakhta ho.
Solanki- koi esa jise kisi bhi kism ki laparwahi bardasht na ho. Jiske liye discipline
kaafi important he.
Shekhar- Aisa kaam to koi army wala hi kar sakta he.
Inspector- To aapka shaq Major pe to nhi!
Major- Aapko pta bhi nhi aap kya keh rhe h. Aap ek army officer par shaq kar rhe h.
Inspector- Dekhiye aap koi bhi ho par shaq ke dayre se abhi koi bhi bahar nahi hai.
Major- Dekhiye mai kanooni dawpage bahut achche se samajhta hun. Lekin mera is
case se koi lena dena nhi h
Mrs. Rose-To jab police ke phone ka zikr hua tha tab aap ghabra kyun
gaye the.
Major- Kuch bhi bole jaa rahi he aap. Mai kaha ghabraya tha. Agar ghabraane se hi
kisi ka jurm saabit ho jata h to Vishambar sahab ke haath se bhi ghabraake rod gir
gyi thi.
Solanki- Han mene bhi dekha tha jab police ke aane ka zikra hua tha tab
17
Vishambar ke haath se rod gir gyi thi. Wese hum logo me se ye akela aisa insaan
hai jiski pehle se booking nahi thi. ye aadmi bhot chalak he. dikhne me jitni umra ka
lagta hai na wo usse kai jyada ka hai. ye apne chalne ke andaaz se apni age ko
chupata hai.
Inspector- Kya mai jaan sakta hun, aap yaha achanak kese aaye the?
Vishambar- Ek dost se milne aaya tha. Aur meri gaadi toofan me fans gyi.
Inspector- Iss ilaake mein dost se milne??
Vishambar- Haan bas yahan se thoda sa door
Inspector- Vishambar sahab, aap apne aapko bohot chalaak samajh rahe hain. Ye
mat bhooliye ki aap bhi ek murder case ka hissa hain.
Inspector- Mr. Solanki. Mujhe aapse bhi kuch puchna he. aap yaha kisliye aaye
the.
Solanki- Ji mujhe kisi shaant jagah jaana pasand he.
Inspector- aur aap yaha kitne din rukne waale he.
Solanki- jab tak ki mera kaam na ho jaye.
Inspector- kaisa kaam.
Solanki- Sorry Inspector….it’s personal.
Inspector- Dekhiye, aap ko samajh pana mere liye bhot mushkil ho raha he. aap
mere sawalon ke jawab nahi de rahe he. aap khud ko bhot smart samjhte he. aap
ye mat bhooliye ki aap bhi iss crime scene ka hissa he.
Inspector- to Mrs Rose, aapki kahaani ke anusar, god lene wala shaqs aadmi ki
bajaye, aurat bhi ho sakti hai. To ye bhi ho skta hai ki khoon kisi aurat ne kiya ho
Mrs. Rose- Aap kehna kya chah rahe hai?
Inspector- Ek aurat chehre ko muffler se dhake, raincoat ko pehne, sar pe badi
topi, Aap kyu nahi ho sakti?
Mrs. Rose- Mai, mai kyu hongi
Inspector- Wese Mr Makhijia ke murder ke waqt aap thi kaha pe?
Mrs. Rose- Mai ghar par hi thi.
Inspector- Sure?
Mrs. Rose- Thodi der ke liye bahar gyi thi.
Inspector- filhaal mai aapke bahar jane ki jaanch-padtal nahi kar skta. aap Ye
bataiye aap apne husband ko kab se janti he?
Shekhar- Ded saal
Inspector- Aapki shaadi ko kitna samay hua
Shekhar- Ek saal
Inspector- Aap dono kaha mile the
Shekhar- Shimla me, ek party me
Inspector- Aur aapke ghar wale? Mene poocha aapke gharwale?
Shekhar- ji mera iss duniya me rose ke alawa aur koi nahi he. me anaath hun.
Inspector-To Mrs Rose aap apne husband ke liye kya kehna chahti h? Aise shaqs
ko anaath bachcho se jyada sympathy kyun nahi ho skti?
18
Shekhar- Ye sab bakwaas hai, aapka dimaag kharab ho gaya hai inspector. mujhe
samajh nhi aa raha ki aap apna time waste kyun kar rahe he. Dekhiye Inspector,
mene aapko pehle bhi kaha aur ab bhi keh raha hun, yaha khada har ek shaqs janta
he ki khoon kisne kiya he. aap iss ladke ko giraftaar kyun nahi karte.
Raj- Ye sab galat hai. mene aisa kuch nahi kiya he. mujhe yaha se jaana he. aap sab
log mujhe fasana cha rahe he. me jaa raha hun yaha se.
(darwaze ki taraf badhta hai)
Ye darwaja kisne band kiya he. Iski chaabhi kaha he.
Mrs. Rose- Darwaaze me hi lagi thi, maine khud lagayi
thi.
Inspector- Kisi ne darwaaza jaan-bhujhkar band kar diya.
Vishambar- Haha ye sab bahut interesting hai. (Sings 3 blind mice)
Mrs. Rose- Please chup ho jao. mujhe samajh nhi aa raha ki ye sab kya ho
raha he. Mrs. Porwal ka chehra, unki nikli hui aankhe(pause)mein kuch bhula
nahi paa rhi hun.
Solanki- Cheeze bhoolna vakayi mein mushkil hota hai, or aap toh hain hi
emotional kism ki kuch bhi bhul nhi paati.
Inspector- Kisine front door band kar ke chaabhi gayab kar di hai.
Major- Maine toh kabhi uski chaabhi dekhi hi nahi (bolte hue baith jaata hai).
Solanki- Mai toh tab se udhar gaya hi nhi.
Vishambhar- Esa lag rha hai yaha koi to hai jo ye nahi chahta hai ki yaha se koi
bhaage.
Inspector- Par aapme se kisi ne toh front door band karke chaabhi gayab ki hai, kya
Mrs. Porwal ke marne ke baad aapme se koi bhi front door ke paas nahi gaya?
Major- Inspector aap hum par iss tarah se chilla nahi sakte.
Inspector- Dekhiye Major, yaha ek khoon hua hai khoon, neeche basement me ek
laash padi hai, aur front door bhi band hai.
Major- Lekin isse har koi doshi nahi ho jaata.
Inspector- Lekin hum sab ek saath hain. Aur aagar chaahein, toh chaabhi dhoond
bhi sakte hain. Fir mai bahar jaa kar nazdiki police station se madad le aaunga.
Major- Chaabhi jaisi chhoti cheez dhoondna itna aasan kaam nahi hai inspector. Vo
bhi tab jab usse gayab kiya gaya ho.
Inspector- par koi to hai jo chahta hai ki yaha se koi bhaag na paye, ab mai kisi
or ka khoon nahi hone dunga, kisi bhi keemat par.
Solanki- Aapko lagta hai ki abhi kisi aur ka khoon hona baaki he.
Inspector- Aapko abhi bhi meri baat par shak hai. Teen choohe, do khatam, ek abhi
bhi baaki hai.
Aap 6 log, aur ek khooni, Mrs. Porwal ki tarah aap mujhse koi baat naa chhupaiyye.
Jo bhi chhupa raha hai, mat chhupao, tumhe hi khatra hai. Jo do khoon kar chuka hai,
vo 3 bhi kar sakta hai.
(long pause)
Ab bhi waqt hai, tum chup rahe toh bohot der ho jayegi, par ek baat dhyaan se sun lo,
khooni ko isme bohot maza aa raha hai, bohot hi zyada. Ab bhi kisi ko kuch nahi
kehna? Ab bhi kisi ko kuch nhi kehna? Mai ek baar firse ghar ka muwana karna
chahunga.
Vishambar- Aap log ko darr to nhi lag rha?
19
Major- Mujhe kisi se darr nhi lagta
Vishambar- Mrs. Porwal bhi yahi keh raha thi.
Solanki- Wese ye chaabhi kisne gayab ki hogi?
Major- Wo jo bhi hai hum cheho me se hi.
Raj- Mujhe yaha se jana h. Mujhe ye sab bilkul achcha nhi lag rha.
Mrs Rose- Humne kabhi socha bhi nhi tha ki hamare guest house ki shuruwat is
tarah hogi.
Shekhar- Mai to pehle hi keh rha tha ye villa bech hi dete hai.
Inspector- yakeen nahi hota.
Vishambhar- kyun inspector, koi bhoot dekh liya kya.
Inspector- nahi, magar maina esa kuch dekh liya he jo mujhe bhot pehle hi dekh lena
chahiye tha.
Vishambhar- matlab police ko suraag mil gaya.
Inspector- haan
Mrs. Rose- matlab aapko chaabi mil gayi.
Inspector- Dekhiye filhaal me zyada kuch nahi keh sakta.
Vishambhar- bilkul,kuch bhi kehne se pehle aapko aakhir tak rukna chahiye.
Inspector- ye koi khel nahi he vishambhar.
Raj- mujhe to ye koi khatarnaak khel hi lag raha he.
Vishambhar- aap hi ne to kaha tha ki khooni ko in sab me bhot maza aa raha he.
Inspector- aap sab log meri baat dhyan se suniye. Mrs. Porwal ke marne ke baad
mene sabhi se puchtach ki thi. sabhi ke statements liye the. aap sabhi ne mujhe
bataya ki Mrs. Rose kitchen me thi, Mr. Raj aur Mr. Shekhar aap apne apne bedroom
me the, vishambhar sahab aap drawing me piano baja rahe the, Mr. Solanki aap
library me letter likh rahe the aur Major sahab aap basement me the.
Major- haan sahi he.
Inspector- to aap logo ne mujhe saari baaten bata di he. aur aap me se 5 log sach
bol rahe he aur ek jhoot aur jo jhoot bol raha he, wohi khooni he.
Solanki- ye zaroori nahi he……aur bhi karan to ho sakte he.
Inspector- ji nahi, mujhe poora bharosa he.
Shekhar- Inspector, par aap ye pata kaise karenge.
Inspector- It’s simple. wohi saari situations dubara dohara kar.
Vishambhar- bilkul….wohi purana tareeka, reconstruction of the crime….par ye
tareeka kitna ajeeb he aur aapko isse haasil kya hoga.
Inspector- dekhiye, me isse jyada aur kuch nahi keh sakta. bas ab yahi ek rasta
bacha he.
Raj- ye sab bakwaas he. pata nahi aapko isse kya haasil hoga.
Inspector- achhaa…
Mrs. Rose- mujhe kitchen me kuch kaam he. me kitchen me jaa rahi hun……
Inspector- koi kahi nahi jayega. aap sabhi ko dekh kar lagta he ki aap sabhi doshi he.
Shekhar- mujhe nahi lagta ki esa karne me koi problem he. ham esa kar sakte
he….haina rose?
Mrs. Rose- haan, thik he.
Shekhar- Mr. Raj aur Solanki sahab…….aap?
Solanki- ji
20
Shekhar- Major sahab…..aap?
Major- haan
Shekhar- aur Vishambhar sahab……aap?
Vishambhar- haan me bhi.
Shekhar- to thik he…. ab ham sab log thik waise hi karenge jaisa Mrs. Porwal ke
marne se pehle kar rahe the.
Vishambhar- thik he…me jaakar khooni ki signature waali tune bajata hun.
Inspector- ek min rukiye vishambhar sahab…..piano aap bhi to baja sakti he.
Mrs. Rose- haan.
Inspector- three blind mice ki dhun aati he aapko.
Mrs. Rose- haan. kise nahi aati.
Inspector- good. to aap drawing me jaakar three blind mice ki dhun bajayengi, jaisa
ki vishambhar sahab baja rahe the. aur sabke jaane ke thik 20 ginte hi aap shuru
karengi.
Vishambhar- par mujhe to laga tha ki ham sab wohi kaam karenge jo Mrs. Porwal ke
marne se pehle kar rahe the.
Inspector- zaroori nahi ki ham sab exactly wohi kaam repeat karen.
Shekhar- par mujhe esa karne ka karan samajh nahi aa raha inspector.
Inspector- karan he Shekhar sahab. mujhe aap sabhi ke statements check karne he.
isse mujhe uss shaqs ka pata chl jayega jo jhut bol raha he. thik he. ab aap sab log
meri baat dhyan se sunenge. me aapko bataunga ki kisko kaha jaana he. Mr. Raj aap
kitchen me jayenge. Solanki sahab, aap Mr. Raj ki jagah lenge yani aap bedroom me
jayenge. Vishambhar Sahab, aap Major sahab ki jagah lenge yaani aap basement me
jayenge. Mrs. Rose, jaisa ki mene aapko bataya aap thik waisa hi karengi. Major
sahab, aap Shekhar sahab ki jagah lenge yaani aap bedroom me jakar telephone
check kar rahe honge aur Shekhar sahab, aap Solanki sahab ki jagah lenge yaani
libray me jakar letter likh rahe honge.
Major- aur aap kya karenge inspector.
Inspector- me Mrs. Porwal ki jagah lunga.
Major- phir to aapko sambhal ke rehna hoga. ese to kuch bhi ho sakta he.
Inspector- dekhiye, me ek policewaala hun, apko iski fiqr karne ki koi zaroorat nahi
he. Bas aap log thik wohi kaam kariye jaisa ki mene aapko kaha he aur jab tak me na
kahuna aap log wohi kaam karte rahenge. thik?
Sab log- han thik.
(everyone exits except inspector)
(Three blind mice tune starts.)
Inspector- Mrs. Rose……….Mrs. Rose.
(Mrs. Rose enters)
Mrs. Rose- kya hua….bhot khush dikh rahe he aap. lagta he apko wo mil gaya he jo
aap cha rahe the.
Inspector- haan. mil gaya.
Mrs. Rose- matlab aapko pata chal gaya ki khooni kaun he.
Inspector- aapko bhi to pata he.
Mrs. Rose- mujhe pata he?
Inspector- aap policewaalon ko itna bewakoof samajhti he kya?
Mrs. Rose- ji. ye aap kya keh rahe he. me kuch samjhi nahi.
Inspector- aap children welfare society ke case ke baare me pehle se hi janti thi. aap
21
janti thi ki Mrs. Porwal hi uss commission ki head thi jnhone uske paper banaye the.
aap sab kuch janti thi par phir bhi aap chup rahi.
Mrs. Rose- me kuch nahi janti.
Inspector- aap children welfare society ke bachhon ko music sikhane jaati thi…aur
un bachon se aapka kaafi lagav ho gaya tha. boliye?jawab dijiye?
Mrs. Rose- Haan. me sab kuch janti thi. me unn baachon ko music sikhane bhi jaati
thi. lekin me sab bhulana chahti thi.
Inspector- itna asaan kaha he Rosy Mam. Hamari chaheti teacher.
Mrs. Rose- kaun ho tum?
Inspector- laughs……( and sings three blind mice)
Mrs. Rose- Tum, Veer?
Inspector- (Laughs) Haan mai. Aapka chota sa student, jo abb bada ho chuka.
Aapko laga mai policewala hun haina, kyunki aapko phone karke kaha kisine ki yaha
pe ek inspector aane wala h poochtach krne. Rosy mam chillaega mat, mai goli chala
dunga………Aaiye, yaha par bethiye, mujhe aapse baat karni hai.
Mrs. Rose- Nahi! nahi!
Inspector- Baithiye! (gusse me)
Mujhe aapse baat krni h. Shruti ne aapko do letter likhe the na. Pehle me kya likha
tha, aapko yaad h? Boliye? BOLIYE!
Mrs. Rose- (rote hue yaad karti hai)
“3 blind mice…See how they run …
Dear ma’am,
humein aapki bohot yaad aati hai. Hum roz ye gaana gate h. Aapko pta hai, hamare
yaha videsh se koi mehman aane wale hain. Vo humare liye bohot sare gift layenge.
Aap bhi yahan jaldi se aa jaiye, hum log khoob masti krenge. Veer to bilkul pagal h,
jab hum ye gaana gaate hain, toh chooha ban jata hai, aur kainchi se apni pooch
kaat-ta hai. Aap bhi yahan jaldi se aa jaiye.
Aapki pyaari,
Shruti”
Inspector- Aapki pyaari Shruti, hum sab ki pyaari, Shruti. Ma’am ye mehman bohot
gande h. Humare sath bohot gandi harkate karte hain. Humein cigarette se jalate
hain. Hum rote hain toh humein maarte hain. Bohot dard hota hai ma’am. Aap yahan
se humein le jao na. Nahi to ye hume maar dalenge. Veer ki tabiyat bohot dino se
kharab hai. Aap aaogi na ma’am?
Yahi likha tha na doosre letter me, jo aapko pehle ke kuch din baad mila tha. Gunah
krne se zyada gunah jaante hue bhi chup rehna. Aap kyu nahi aayi ma’am? Aapko
pata hai ma’am uss raat aag lagne se pehle unn darindo ki darindgi ki wajah se
saare baacche toot gaye the, par Shruti kisi tarah bachkar terrace par ja pahuchi, aur
wahan se kood gayi. Aur wo mar gayi. Humari pyaari Shruti, mar gayi. Aur ye sab
chhupane ke liye Mr Makhija ne saare bachcho ko kamre me band karke aag laga di!
Saare bachche cheekhte rahe, chillate rhe bachaooooo bachaoooo.
Inspector- Jise haadsa dikhaya gaya, asal me wo ek ginoni saazish thi. Kitna
aasaan tha na, Shruti ki maut aur waha par chal rahi ghinoni kritiyo ko laparwahi ki
aag me dafan kar dena. Aap to sab kuch pehle se jaanti thi, phir bhi aapne kuch nahi
kiya, phit bhi aap chup rahi. Mrs. Porwal ne bhi adaalat ko gumrah kiya.
22
Hum sab choohe hain, baadal phat-te hi bill me ghus jaate hain. Mai saare choohon
ko maar dunga. Do ko saza mil chuki hai, aur abb aapki baari. Aapko khush hona
chahiye, mai aapko mukti de rha hun, aapke gunaho ke liye.
Mrs. Rose- Ye sach nahi hai Veer, ye sach nahi hai. Mujhe pehla khat mila tha, lekin
uske baad mai beemar pad gayi. Kayi dino baad jab mai beemari se uthi, to mujhe
doosra khat bhi mila, lekin tab tak bohot der ho chuki thi. Mr Makhija jail ja chuke
the. Mujhe laga unhe unke gunaho ki saza mil chuki hai, isliye maine chup rehna hi
theek samjha.
(Inspector laughs)
Inspector- Itni mamooli si sazaa, aise gunaaho ki bas yahi saza honi chahiye.
Sazaa toh maine unhe di. Maine Shruti se waada jo kiya tha ki mai bada hokar
sabko saza dunga. Aur abb aapki baari. (Inspector laughs)
Mrs. Rose- Veer aisa mat karna. Tum bhaag nahi paoge.
(Inspector laughs)
Inspector- Mujhe pata hai. Mujhe pata hai kisine darwaaza jaanboojh kar band kar
diya tha. Mujhe koi farak nahi padta. Pehchaan to mai aapko bohot pehle hi gaya
tha, par bohot maza aaya inspector banke.
Inspector- 3 blind mice……
Inspector- Ma’am ek baar ye gaana gao na mere sath. Ma’am ek baar gao na
please ma’am, jaise aap pehle gaati thi, please ma’am
(Solanki enters)
Solanki- Veer rukjao…rukjao veer. unko chod do.
Inspector- tum kaun ho. mene mana kiya tha jab tak me na kahun koi bahar nhi
aayega. yaha se jao.
Solanki- Veer ruk jao….hosh me aao veer. yaad karo. Uss raat aag ki lapto se
bachar bhagne me kisine tumhari madad ki thi, yaad karo veer.
Inspector- Suraj tum? Tum yaha kya kar rahe ho?
Solanki – haan me suraj.Dekho jo hona tha ho chuka hai. Mrs. Rose ko chod do.
Mr. Makhija ki maut ke baad me tumhe hi dhoond raha tha. mujhe lag hi raha tha
ki isme tumhara hi haath he. Veer tum mere saath chalo.
Inspector- Nahi…Nahi
Solanki - Tum beemar ho, tumhe doctor ki zaroorat hai… tu mere saath chalo
veer.tum theek ho sakte ho.
Inspector- Nahi….mene shruti se jo vaada kiya tha wo me pura karunga.
Solanki – veer nahi..
Inspector- me isse maardunga. me saare chuho ko khatam kardunga.
Solanki- veer nahi shruti kabhi esa nahi chahegi.
Inspector- nahi….shruti esa hi chahegi. me saare chuho ko maar dunga.
Solanki- nahi veer…..(Takes out gun)
Inspector- Suraj nahi. tum peeche hat jao. tum chle jao yaha se.
Solanki- Nahi veer…..Mrs. Rose ko chod do.
( gun shot)
23
Mrs. Rose-(crying ) veer……tum sach kehte the veer. hum sab choohe he. sab
chuhe. badal ke phatte hi bill me ghus jate hai. bahar kya ho rha kyu ho raha he,
hume uss sab se koi matlab nahi. hum karna to bohot kuch chahte hai lekin kar nahi
pate. andar hi andar ghut te rehte he. rote he. hum sab chuhe he veer. sirf ek tum the
jo azaad the. ham sab chuhe he……bina pooch ke chuhe.
!!!!!!****THE END****!!!!!!
24
Download