Jaun Elia Shayari- An Excellent Poetry of 19th Century Jaun Elia Shayari is one of the best Urdu Poetry that youth like. Jaun Elia ( 14 December 1931 – 8 November 2002) was a Pakistani dynamic Marxist Urdu writer, scholar, biographer, and researcher. He was the sibling of Rais Amrohvi and Syed Muhammad Taqi, who were columnists and psychoanalysts. Jaun Elia Poetry Below I like to write most hearts touching Ghazal of Jaun Elia Poetry. Umr guzregi imtihan mein kya Dagh hi denge mujh ko dan mein kya Meri har baat be-asar hi rahi Naqs hai kuch mere bayan mein kya Mujh ko to koi Tokta bhi nahin Yahi hota hai Khandan mein kya Apni mahrumiyan chupate hain Hum gharibon ki aan-ban mein kya Khud ko jaana juda zamane se Aa gaya tha mere guman mein kya Sham hi se dukan-e-did hai band Nahin nuqsan tak dukan mein kya Ae mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq Tu nahati hai ab bhi ban mein kya Bolte kyun nahin mere haq mein Aable pad gae zaban mein kya Khamoshi kah rahi hai kan mein kya Aa raha hai mere guman mein kya Dil ki aate hain jis ko dhyan bahut Khud bhi aata hai apne dhyan mein kya Wo mile to ye puchhna hai mujhe Ab bhi hun mai teri aman mein kya Yu jo takta hai aasman ko tu koi Rahta hai aasman mein kya Hai nasim-e-bahaar gard-alud KHak udti hai us makan mein kya Ye mujhe chain kyun nahin padta Ek hi shaKHs tha jahan mein kya So it is our latest collection Jaun Elia Poetry and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Jaun Elia Poetry.